Dhoop aur chaoon
Zindagi ke do haseen pehlu. Dhoop rang bharthi toh chaoon raangeen. Hamare rishtein bhi dhoop aur chaoon ke jaise hai. Har rishtha jitna dhoop Mein sikhtha hai Utna hi khoobsurathi se Woh nikhartha hai. Jitna Hum zindagi ke inn do pehlu ko samaj le utni hi hamari zindagi haseen aur ansaan ho jati hai. Dhoop humein sangharsh sikhati hai aur chaoon humein sukh deti hai. Kaee mod Par hamare rishtein bhi aise ho jaate hai ki Hum unse juujte rehte hai, Lekin yahi zindagi ka anmol sach bhi hai. Dhoop jawani jaisi jitna hum iss dhoop(jawaani) mein sangharsh karte hai utna hi sukh bhara hamara bhuddapa(chaoon) hota hai. Kathin hoti hai chaoon ki manzil par dhoop se guzarkar hi nikalta hai uska raasta. Hamare rishtein bhi dhoop aur chaoon ka hi khel hai,jitna pyaar se Hum Inko nibhana sikhle Utne hi ansaan ho jate hai hamare liye hamare rishtein.... Inn rishton ko jitna hum dhoop mein sekhle utni hi haseen hamari shaam Hojayegi. Dhoop aur chaoon ke rangon Mein apne aapko millalo...