Ek seeke ke do pehlu
Kisine kaha hai dosti ka haath aage badane mein koi burai nahi hai .... But woh shayad yeh bolna bhulgaye ki dosti ka haath bhi unki taraf hi badao jo sahi mein uske hakdaar ho.
Aaj kal har koi apni ek alag pehchan banata hai.Bahar se kuch aur aur andar kuch aur. Shayad zamana hi aisa ho gaya hai ki yeh zaroori ho gaya hai. Jo insaan har jagah ek jaisa ho usse koi samaj nahi sakta.Woh waqt ke saath apne pehlu badalte hai aur woh zaroori bhi hogaya hai. Par aise jeene ka kya matlab jaha aap bahar logo ko dikhane ke liye ek jaise aur apno ke beech ek jaise agar bahar badi badi baatein karte ho aur andar se khokle ho toh koi matlab nahi banta.Har baar ek jaise rehne ki koshish karke dekho zindagi bohut khoobsurat lagegi shayad zindagi thodi aasan hojaye...
Comments
Post a Comment